Thursday, November 03, 2005

Another new one

Another one thats almost done. It is still rough and would probably be added to.

BolooN to bas aapko, dekhooN jidhar bhi aap haiN.
Merii zubaaN bhi aap kii, meri nazar bhi aap haiN

Kaisi ajeeb raah par, haiN badh chale mere kadam,
Manzil bhi meri aap hi, aur hamsafar bhi aap haiN.

Kya jaaniye anjaam kya hai shaam-o-seher-e ishq ka,
Meri shikast bhi aap hi, raaze zafar bhi aap haiN.

KyoN bayaan-e-haal-e-dil maaloom nahin aapko,
Manzil bhi jab aap hi aur naamaabar bhi aap haiN.

MaangooN khudaa se aur kya, ki aap hi mere khudaa,
Meri duaa bhi aap haiN, uskaa asar bhi aap haiN.

Dhoka hai nigahoN ka, ya jaagi nazar ka khwaab hai,
Ya merii kaifiyat ka hai asar, dekhooN jidhar bhi aap haiN.